SPANDANANGAL - Dedicated Film Songs(lyrics)

Hindi Song Title: Dil Cheez Kya Hai
Hindi Movie/Album Name: UMRAO JAAN
Singer(s): ASHA BHOSLE 

Hindi Lyrics:
Aa aa aa aa, aa aa aa
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye - 2
Bas ek baar mera kaha
Bas ek baar mera kaha maan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Is anjuman mein aap ko
Is anjuman mein, aah, aah aah aah
Is anjuman mein aap ko
Is anjuman mein aap ko aana hai baar baar
Aana hai baar baar
Deevaar-o-dar ko gaur se
Deevaar-o-dar ko gaur se pehchaan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Maana ke doston ko nahin
Doston, doston ko nahin
Maana ke doston ko nahin dosti ka paas
Lekin yeh kya ke gair ka
Lekin yeh kya ke gair ka ehsaan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Kahiye to
Kahiye to aasmaan ko
Kahiye to aasmaan ko zameen par utaar laaye
Mushkil nahin hai kuch bhi
Mushkil nahin hai kuch bhi agar thaan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Bas ek baar, bas ek baar
Bas ek baar mera kaha maan lijiye
Maan lijiye, maan lijiye

 Hindi Song Title: In aankhon ki masti ke
Hindi Movie/Album Name: UMRAO JAAN
Singer(s): ASHA BHOSLE 

Hindi Lyrics:
In aankhon ki masti ke, aah aah aah aah
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
Mastaane hazaaron hain
In aankhon se vaabasta
In aankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke
Ek tum hi nahin tanha, aah aah
Ek tum hi nahin tanha ulfat mein meri rusva
Ulfat mein meri rusva
Is shaher mein tum jaise
Is shaher mein tum jaise deewaane hazaaron hain
Deewaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke, aah aah aah
Ek sirf humi mai ko, ek sirf humi
Ek sirf humi mai ko aankhon se pilaate hain
Aankhon se pilaate hain
Kehne ko to duniya mein
Kehne ko to duniya mein maikhaane hazaaron hain
Maikhaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke
Is shamm-e-faroza ko, aah aah
Is shamm-e-faroza ko aandhi se darraate ho
Aandhi se darraate ho
Is shamm-e-faroza ke
Is shamm-e-faroza ke parvaane hazaaron hain
Parvaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In aankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke

 Hindi Song Title: Jab Bhi Milti Hain
Hindi Movie/Album Name: UMRAO JAAN
Singer(s): ASHA BHOSLE 

jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyon hai
zindagi roz naye rang badalti kyon hai

tum se bichhade hain to ab kis se milati hai hamein
zindagi dekhiye kya rang dikhati hai hamein

Hindi Song Title: Kaahe Ko Byaahe Bides
Hindi Movie/Album Name: UMRAO JAAN
Singer(s): JAGJIT KAUR 

kaahe ko byaahe bides, are lakhiyan baabul mohe  -2
kaahe ko byaahe bides ...

ham to baabul tore bele ki kaliyan  -2
are ghar-ghar maange hain jaaye
are lakhiyan baabul mohe ...
kaahe ko byaahe bides ...

mahalan tale se dola jo nikala  -2
are beeran mein chhaaye pachhaad
are lakhiyan baabul mohe
kaahe ko byaahe bides ...

bhaiya ko diyo baabul mahalan do mahalan  -2
are ham ko diyo pardesh
are lakhiyan baabul mohe

kaahe ko byaahe bides
are lakhiyan baabul mohe
kaahe ko byaahe bides
are lakhiyan baabul mohe

Hindi Song Title: Pratham Dhar Dhyan Dinesh
Hindi Movie/Album Name: UMRAO JAAN
Singer(s): USTAD GHULAM MUSTAFA, SHAHIDA KHAN, RUNA PRASAD 

pratham dhar dhyaan dinesh
brahma vishnu mahesh

ab mori naiyya paar karo ji
hazarat nizaam-ud-diin auliya

sujan vichaar aayo man ma
kab piya aaye more mandirava

biraj mein dhoom machaayo kaanha
kaise kar jaaun sakhi apane dhaam

dashran do shankar mahaadev
mahaadev tihaare charan bin
more kal naahi padat ghar pal chhin

pakadat bainya mori banavaari
choodiyaan ka ras gayi saare anaadi

bansuri baj rahi dhun madhur
kanhaiya ke rat jaago

 Hindi Song Title: Yeh kya jagah hai doston
Hindi Movie/Album Name: UMRAO JAAN
Singer(s): ASHA BHONSLE 

ye kyaa jagah hain dosato, ye kaun saa dayaar hain
had-ye-nigaah tak jahaa, gubaar hee gubaar hai

ye kis makaam par hayaat muz ko leke aa gaee
naa bas khushee pe hain jahaa, naa gam pe ikhtaiyaar hai

tamaam umar kaa hisaab maangatee hain jindagee
ye meraa dil kahe to kyaa, ye khud se sharmasaar hai

bulaa rahaa hain kaun muz ko, chilamanon ke us taraf
mere liye bhee kyaa koee,udaas bekaraar hai

Hindi Lyrics:
Film SHOLAY 

Yeh dosti hum nahin todenge
Todenge dam magar tera saath na chhodenge
Ae meri jeet teri jeet, teri haar meri haar
Sun ae mere yaar
Tera gham mera gham, meri jaan teri jaan
Aisa apna pyaar
Jaan pe bhi khelenge, tere liye le lenge
Jaan pe bhi khelenge, tere liye le lenge
Sab se dushmani
Yeh dosti hum nahin todenge
Todenge dam magar
Tera saath na chhodenge
Logon ko aate hain do nazar hum magar
Dekho do nahin
Arre ho judaa ya khafa ae khuda hai dua
Aisa ho nahin
Khaana peena saath hai
Marna jeena saath hai
Khaana peena saath hai
Marna jeena saath hai
Saari zindagi
Yeh dosti hum nahin todenge
Todenge dam magar tera saath na chhodenge

 
Today, there have been 3 visitors (7 hits) on this page!
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free